O Kanha ab To Murli ki Madhur Suna Do Taan - Yeh Rishta Kya Kehlata Hai ...

Lord Krishna Bhajan O Kanha Ab to murli ki

O Kanha ab To Murli ki Madhur Suna Do Taan - Yeh Rishta Kya Kehlata Hai ...



O Kanha Ab To Murli Ki Song Lyrics

O kanha ab to murli ki
Madhur suna do taan
O kanha ab to murli ki
Madhur suna do taan
Main hu teri, prem deewani,
Mujhko tum pehchaan
Madhur suna do taan
O kanha ab to murli ki
Madhur suna do taan

Jabse tum sang maine apne,
Naina jod liye hai
Kya maiya kya babul sabse,
Rishte thod liye hai
Tere milan ko vyakul hai
Ye kabse mere praan
Madhur suna do taan
O kanha ab to murli ki
Madhur suna do taan

Saagar se bhi gehari mere
Prem ki geheraai
Lok laaj kul ki mariyada
Saj kar main toh aayi
Meri preeti se o nirmohi
Ab na bano anjaan
Madhur suna do taan
O kanha ab to murli ki
Madhur suna do taan

Main hu teri, prem deewani
Mujhko tum pehchaan
Madhur suna do taan
Madhur suna do taan
Madhur suna do taan.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.