Luv Kush Singing Ramayan - Hum Katha Sunate Ram Sakal Gun Dhaam Ki..
Om Shree Ganeshay Ridhi Siddhi Sahitaay Namah
Om Satyam shivam sunderam shivani sahitaay namah
pitri natra namah, pujya guruwar namah
Raja gurujan praja sarve saadar namah
Veena vadini sharde rakho humara dhyaan
Samyak vaani shuddh swar humko karo pradaan
sabko vinay praan kar
sabse anumati maang
luv kush ne chheda saras
raam katha ka raag
Hum katha sunate Raam sakal gun gram ki
Hum katha sunate Raam sakal gun gram ki
ye Ramayan hai punya katha shree Ram ki
Raam vajhra ke sabhi vanshdhar
vachan parayan dharm dhurenda
kahein unki kathayein bhoomi ayodhya dhaam ki
yahi jana bhoomi hai purushottam gun gram ki
yahi jana bhoomi hai purushottam gun gram ki
ye ramayan hai punya katha Shree Ram ki
ye ramayan hai punya katha Shree Ram ki
chitra shukla navami tithi aayi
madhya divas me Raam ko laayi
bankar laushalya ke lala
prakat bhaye hari param kripala
Raam ke sang jo bhrata aaye
Lakhan bharat shatrughn kahaye
Guru vashisht se charon bhai
alpkaal vidhya sab paayi
munivar vishvamitra padhare
maange Dashrath ke drig taare
bole Raam lakhan nidhiyan hai humare kaam ki
hum katha sunate purushottam gun gram ki
ye Ramayan hai punya katha shree ram ki
sabke hriday adheer kar bhar kar chaap me teer
chal diye vishvamitra sang lakhan or raghuveer
pratham hi raam taadka maari ki muni aashram ki rakhvaari
bin fal baan maareech ko maara shat yojan gira saagar para
vyathik ahilya ka kiya pad raj se kalyaan
pahuche prabhuvar janakpur karke ganga snaan
Siya ka bhavya swayamvar hai
Siya ka bhavya swayamvar hai
sabki drishti me naam ram ka sabse upar hai
Siya ka bhavya swayamvar hai
janak raaj ka kathin pran taaran rahe sunaay
bhang kare ko shiv dhanush le vahi siya ko
vishvamitra ka ingit paya
sahaj raam ne dhanush uthaya
bhed kisiko hua na gyaat
kab shiv dhanu toda gaghunaath
nikat viksh ke aa gayi veli
siya jaimaal raam ur meli
Sunder shashvat abhinav jodi
vo upma di jaye so thodi
karein dono hi mil kaanti koti rati kaam ki
hum katha sunate purushottam gun gram ki
ye Ramayan hai punya katha shree ram ki
samko dubokar raam ke ras me
luv kush ne kiye jan mann bas me
aage katha badhate jaayein
jo kuch ghata sunate jaayein
kaise hui vidhina ki drishti vakr
safal hua kekai ka kuchakra
ram lakhan or sita ka van gaman
viyog me dashrath maran
chhitrakut or panchvati
jahan jahan jo jo ghatna ghati
savistaar sab katha sunake
luv kush ruke ayodhya aake
gaya vijay ka parv manaya raam ko
avadh naresh banaya
niyati kaal or praja ne milkar aisa jaal bichaya
do avibhajya aatmao par samay bichhoh ka aayaa
Avadh ke vaasi kaise atyaachaari
Ram siya ke madhya rachi samdeh ki chingaari
kalankit kar di nishkalank naari
chintit sita aaye na koi aanch pati samman par
dheerav rahe maharaj bhi sita ke van prasthan par
mamatamayi maao ke naate par bhi pala par gaya
gurudev gurujan jaise sabke mukh pe tala par gaya
siya ko lakhan bithake rath me
chhod aaye kaanton ke path me
gyaan chetne nagar vasiyon ne jan sab kho daali
tab ashaay siya ke ek
maharshi bane rakhvaali
hum katha sunate purushottam gun gram ki
hum katha sunate purushotam gun gram ki
ye ramayan hai punya katha shree ram ki
sabko dubokar raam ke ras me
luv kush ne kiye jan mann bas me
aage katha badhate jaayein
jo kuch ghata sunate jaayein
avadh ke vaasi kaise atyaachaari
ram siya ke madhya rachi samdeh ki chingaari
kalankit kar di nishikalank naari
chintit sita aaye na koi aanch pati samman par
dheerav rahe maharaj bhi sita ke van prasthan par
mamatamayi maao ke naate par bhi pala par gaya
gurudev gurujan jaise sabke mukh pe tala par gaya
sita ko lakhan bithake rath me
chhod aaye kaanton ke path me
gyaan chetna nagar vasiyon ne jan sab kho daali
tab ashaay siya ke ek
maharshi bane rakhvaali
valmiki ji mil gaye siya ko janak samaan
putri bana vatsalya vat ashram me diya sthaan
divya deep devi ne jalaye raam ke do sut siya ne jaane
divya deep devi ne jalaye raam ke do sut siya ne jaane
shrotagan Sita ek raaj kanya hai raaj rani hai
naari jati ko mahima mandit karne vali
ye mahanaarivanvaas ko gareema pradaan kar
vaha apne din kaise bita rahi hai iski jhalak prastut hai.
Nange paaon nadiya se bharke laati hai neer neer neer se vishad ke nayan na bhigaati hai
lakdiya kaatti hai dhan but chhatti hai vidhna ke baan seh seh muskati hai
kartavya bhaavna ki chakki ke do baato me vo bina prativaad kiye pisti hi jaati hai
aise me bhi putron ko sikhake saare sanskaar swavlambi swabhimaani svabal banati hai
vrat upvaas puja anushthan karti hai prati pal naam bas Raam ka hi leti hai
jinke taano ne kiya hriday videen mata unko bhi sada shubhkaamna hi deti hai
Devi pe jo aapda hai vidhi ki vidambhna ya praja ki uthayi hui abhi ki reeti hai
jagat ki naiya ke khivaiya ki hai Rani par swayam ki naiya sita swayam hi kheti hai
bhramit sandehi bas tika tipaddi hi kare kuch nahi sujhe unhe peeche or aage ka
dhobiyon ki drishti bas mael or dhabbe dekhe kapda buna ho chahe kaise hi dhaage ka
swarnkaar swarn me sacchayi ki jachayi kare agni me tapna hi dand hai abhage ka
hridayon ke sthan pe pashaad jahan rakhe vaha kispe prabhaav ho siya ki grah tyaagi ka
mahal me pali badhi mahal me byahi gayi mahal ka jeevan paranu mila naam ka
aise asamay me mahal tyaag van chali samay tha jab dekh rekh vishraam ka
karke sangram Raam lanka se chhudaye laaye kram nahi tuta par jeevan sangram ka
tab vanvaas me nibhaya saath ramji ka ab vanvaas kate diya hua Ram ka
hooooooooooo
karamyogini param punitaaaaa
maat hamari bhagvati Sita.
hooooo... hum luvkush Raghukul ke taare.
pujya pita shree ram humare....
DHANYA HUM IN CHARANO ME AAKE
RAMA NIKAT RAMAYAN GAAKE